Nabi alaihissalam ki wafaat kis tarikh me huvi?
Assalamu alaikum
Nabi ﷺ ki wafat Monday ke din huvi, yeh baat hadis se sabit hai (bukhari hadis no. 680)*
Nabi ﷺ ki wafat 11 hijri me huvi is baat me bhi koi ikhtilaf nhi.
ab kuch bhai tarikh ke kuch wakiat ke base par yeh kehte hai ke Nabi ﷺ ki wafaat 12 rabiul awwal ko huvi jo ke bilkul sahi nhi hai,
10 hijri me jab Nabi ﷺ ne hajjatul wida ka khutba diya woh arfaat ka din tha aur us din jumma tha, *(bukhari 45)*
ab humko yeh pata chal gaya 10 hijri me arfaat ka din yaani 9 zul hijja ka din jumma ke din aya aur Nabi ﷺ ki wafaat rabiul awwal me Monday ke din huvi,
yaani ke zull hijja se lekar rabiul awwal ke darmiyan jo duration hai woh hai 3 month,
aur hijri calendar ke hisab se ek month me 30 days se zada din nhi hotey aur 29 days se kam bhi nhi hotey,
is lihaaz se 4 possible combination hi ban sakte hai in 3 months ke
1⃣ teeno mahine 30 ke
2⃣ teeno mahine 29 ke
3⃣ ek mahina 29 aur baaki do mahine 30 ke
4⃣ ek mahina 30 ka baki dono 29 ke
yeh chaar possible combination ke alwa aur koi 5th combination nhi ban rha hai.
ab agar calculation kiya jaye ke 10 hijri 9 zil hijja ko Friday ka din tha toh ussey lekar rabiul awwal tak.
first combination try karne par
*agar teeno mahine 30 ke maan liye jaye toh 12 rabiul awwal sunday ke din ayegi.*
*agar teeno mahine 29 ke maan liye jaye toh 12 rabiul awwal Thursday ko ayegi*
*agar ek 29 ka aur dono 30 ke maan liye jaye toh 12 rabiul awwal ayegi Saturday ko*
*aur agar do mahine 29 aur ek 30 ka maan liya jaye toh 12 rabiul awwal ayegi Friday ke din*
ab yeh chaaro combination try karne par jo results araha hai woh bukhri ki hadis ke against hai jisme yeh likha hai ke Nabi ﷺ ki wafaat Monday ko huvi.
toh sabit hua ke 12 rabiul awwal Nabi ﷺ ki wafaat ka din nhi hai,
date confirm nhi hai par din Monday ka tha.
Jazakumuallahu khairah

Comments
Post a Comment