Posts

Showing posts with the label Sood ki taarif

Sood ki taarif

💠 *Sood kisey kehte hai quran aur sahi hadis ki roshni me dekhen* 💠 Sood har us zada rakam (paise) ko kaha jata hai jo kisi karz par tey karke wasul ki jaye, Yani ke karz pe liye gaye izafi maal ko sood kaha jata hai. ✳ *karz kisi kehte hai* Karz hamesha consumable chizo pe hota hai, misal ke tour pe khajur, gundum, silver, gold, salt, money, Yeh woh chizen hai jinka zikr hadiso me aya hai, Aur usable chizo ko jab aap udhaar (loan) pe doge toh uske badle me karz nhi balke kiraya loge, misal ke taur pe, car, bike, shop, home etc Yeh toh tha usable aur consumable chiz me mukhtasar fark, aur sath hi yeh bhi pata chala ke usable chiz pe kiraya liya jata hai aur consumable chiz pe karz diya jata hai, aur consumable chiz pe karz ki rakam se zada rakam lena sood kehlata hai,aur sood sirf karz ki surat me hota hai uske liye mazeed dekhiye. ⭕ HADIS abu saeed khudri radhiallaho tala anhu se riwayat hai nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke sone key ba...