Posts

Showing posts with the label Qurbani 3 din ya 4 din

Qurbani ke kitne din sahi hadis se sabit hai?

Assalamu alaikum warehmtullahi wa barakatuh qurbani ke kull 3 din hai eid ke alawa aur 2 din ⭕hazrat abdullah bin umar radhiallaho anhu ne farmaya qurbani wale din ke baad (mazeed) 2 din qurbani hai. 🏷 *(muwatta imam malik 1774)* ⭕abdullah bin abbas radhiallaho anhu farmate hai ke qurbani ke din ke baad 2 din qurbani hai aur afzal qurbani nehar wale din ki ha. 🏷 *(ahkam ul quran tahavi 1571)* ⭕anas bin malik radhiallaho anhu farmate hai ke qurbani wale din ke baad 2 din qurbani hoti hai. 🏷 *(ahkam ul quran tahavi 1576)* ⭕maula ali alaihissalam farmate hai ke qurbani ke 3 din hai. 🏷 *(ahkam ul quran tahavi 1569)* qurbani ke 4 din wali sari ki sari riwayat zaeef hai is waqt mauka nhi ke unke sare sukan bataye jaye.  ⭕nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke tamam ayyame tashreek qurbani hai. 🏷 *(musnad ahmad 16751 / sahi ibne hibban 3854 )* ayyame tashreek kehte hai zul hijja ki 11,12,13 tarik...