Posts

Showing posts with the label Usool e Hadis in Roman English

Usool e Hadis In Roman

Assalamu alaikum Is post me usool hadis boht hi asaan tarike se samjhane ki koshish ki gyi hai aap issey fayda uthaye. Hadees kisey kehtey hai ? Arabic  laugat(dictionary) me  lafz e hadees ke maney  guftugu ya kalam krna hai magar Istelah  ki zaban me Rasul ullah saws ki Qual fael  aur takrir ko kehte hai HADEETH KE AQSAM Hadeeth char qism ke hote hai (1) Hadeeth quali (2) Hadeeth faeli (3) Hadeeth Takriri (4) Hadeeth shumaili Hadeeth  Quali – jis Hadees se rasul ullah saws  ke faramin ka ilm ho us hadeeth  ko Quali hadeeth kehte hai. Hadeeth faeli -  jis Hadeeth se hume rasul ullah  saws ka fael (kisi Amal ko krne)ka ilm hasil ho usey hadeeth Faeli kehte hai. Hadeeth takiri – ye us hadeeth ko kehte hai jo kisi sahaba ne koi aisa kaam  Rasul ullah saws ke samney kiya ho aur Rasul ullah saws khamosh rahe ho  yani us sahaba ko us kaam se nhi roka ho aise hadeetho ko Hadeet Takriri kehte hai. ...