Qurbani ke kitne din sahi hadis se sabit hai?
Assalamu alaikum warehmtullahi wa barakatuh
qurbani ke kull 3 din hai eid ke alawa aur 2 din
⭕hazrat abdullah bin umar radhiallaho anhu ne farmaya qurbani wale din ke baad (mazeed) 2 din qurbani hai.
🏷 *(muwatta imam malik 1774)*
⭕abdullah bin abbas radhiallaho anhu farmate hai ke qurbani ke din ke baad 2 din qurbani hai aur afzal qurbani nehar wale din ki ha.
🏷 *(ahkam ul quran tahavi 1571)*
⭕anas bin malik radhiallaho anhu farmate hai ke qurbani wale din ke baad 2 din qurbani hoti hai.
🏷 *(ahkam ul quran tahavi 1576)*
⭕maula ali alaihissalam farmate hai ke qurbani ke 3 din hai.
🏷 *(ahkam ul quran tahavi 1569)*
qurbani ke 4 din wali sari ki sari riwayat zaeef hai is waqt mauka nhi ke unke sare sukan bataye jaye.
⭕nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke tamam ayyame tashreek qurbani hai.
🏷 *(musnad ahmad 16751 / sahi ibne hibban 3854 )*
ayyame tashreek kehte hai zul hijja ki 11,12,13 tarikh ko.
*Upar jo hadis hai usme abdurehman bin abi husyn ki mulakat juber bin mutam se sabit nhi hai lihaza yeh hadis zaeef hai aur balke is silsile ki saari Hadis zaeef hai, malum hua ke qurbani eid ko mila kar 3 din hai yani 10,11,12 zul hijja.*
*allah hum sabko haq baat tasleem karne ki aur deen ko samaj kar uspe amal karne ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabul alameen*
Comments
Post a Comment