Hadees e ghadeer e Khum par aitrazaat ta tehkeeki jayeza ‼

اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه

Hadees e ghadeer e Khum par aitrazaat ta tehkeeki jayeza ‼


           ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ


Hadees man kuntu maula (jiska maula me uska maula ali)
Par kuch log Aitraaz karte hain ke ye zaeef hai


اخبرنا محمد بن العلاء حدثنا ابو معاویہ حدثنا الاعمیش عن سعد بن عبیدۃ عن ابن بریدۃ عن ابیہ قال بعثنا رسول اللہ صل اللہ علیہ و سلم... من کنت ولیہ فعلی ولیہ."


 Ye  sanad hai isme imaam Amash hain aur imaam Amash imaamul mudalliseen  hain to janaab kafi door tak ki books par  Gaye Magar ye janaab   janaab Ko jam e tirmizi  nahi dikhi kyunki me to amash hai hi nahi 👇

Jam'e tirmizi:-

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنْ سَلَمَةَ بْنِ كُهَيْلٍ، قَال:‏‏‏‏ سَمِعْتُ أَبَا الطُّفَيْلِ يُحَدِّثُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي سَرِيحَةَ أَوْ زَيْدِ بْنِ أَرْقَمَ،‏‏‏‏ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ:‏‏‏‏    مَنْ كُنْتُ مَوْلَاهُ فَعَلِيٌّ مَوْلَاهُ   . قَالَ أَبُو عِيسَى:‏‏‏‏ هَذَا حَسَنٌ صَحِيحٌ غَرِيبٌ، ‏‏‏‏‏‏وَقَدْ رَوَى شُعْبَةُ هَذَا الْحَدِيثَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ مَيْمُونٍ أَبِي عَبْدِ اللَّهِ، عَنْ زَيْدِ بْنِ أَرْقَمَ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ نَحْوَهُ وَأَبُو سَرِيحَةَ هُوَ حُذَيْفَةُ بْنُ أَسِيدٍ الْغِفَارِيُّ صَاحِبُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ

Ab is sanad me to amash nahi hai an ke saath na hi ye koi Gareeb riwaayat hai  iska kuch hissa saheh muslim me bhi hai (6225,6226,6227,6228)📚

Ab ham iski 1 aur sanad dekhte hain 👇🏻

Musnad Ahmad

)۔عَنْ یَزِیْدَ بْنِ حَیَّانَ التَّیْمِیِّ قَالَ: اِنْطَلَقْتُ أَنَا وَحُصَیْنُ بْنُ سَبْرَۃَ وَعُمَرُ بْنُ مُسْلِمٍ اِلَی زَیْدِ بْنِ أَرْقَمَ (ؓ) فَلَمَّا جَلَسْنَا اِلَیْہِ قَالَ لَہُ حُصَیْنٌ: لقَدْ لَقِیْتَ یَا زَیْدُ خَیْرًا کَثِیْرًا، رَأَیْتَ رَسُوْلَ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم وسَمِعْتَ حَدِیْثَہَ وَغَزَوْتَ مَعَہُ وَصَلَّیْتَ مَعَہُ، لقَدْ رَأَیْتَ یَا زَیْدُ خَیْرًا کَثِیْرًا، حَدِّثْنَا یَا زَیْدُ مَا سَمِعْتَ مِنْ رَسُوْلِ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم! فَقَالَ: یَا ابْنَ أَخِیْ! وَاللّٰہِ! لقَدْ کَبُرَتْ سِنِّیْ وَقَدُمَ عَہْدِیْ وَنَسِیْتُ بَعْضَ الَّذِیْ کُنْتُ أَعِیْ مِنْ رَسُوْلِ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم، فَمَا حَدَّثْتُکُمْ فَاقْبَلُوْا وَمَا لَا فَـلَا تُکَلِّفُوْنِیْہِ، ثُمَّ قَالَ: قَامَ رَسُوْلُ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم یَوْمًا خَطِیْبًا فِیْنَا بِمَائٍ یُدْعٰی خُمًّا، یَعْنِیْ بَیْنَ مَکَّۃَ وَالْمَدِیْنَۃِ، فَحَمِدَ
اللّٰہَ تَعَالٰی وَأَثْنٰی عَلَیْہِ وَوَعَظَ وَذَکَّرَ،ثُمَّ قَالَ: ((أَمَّا بَعْدُ! أَ لَا أَیُّہَا النَّاسُ! اِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ، یُوْشِکُ أَنْ یَأْتِیَنِیْ رَسُوْلُ رَبِّیْ عَزَّوَجَلَّ فَأُجِیْبَ، وَاِنِّیْ تَارِکٌ فِیْکُمْ ثَقَلَیْنِ، أَوَّلُہُمَا کِتَابُ اللّٰہُ عَزَّوَجَلَّ، فِیْہِ الْہُدٰی وَالنُّوْرُ، فَخُذُوْا بِکِتَابِ اللّٰہِ تَعَالٰی وَاسْتَمْسِکُوْا بِہِ۔)) فَحَثَّ عَلَی کِتَابِ اللّٰہِ وَرَغَّبَ فِیْہِ، قَالَ: ((وَأَھْلُ بَیْتِیْ، أُذَکِّرُکُمُ اللّٰہَ فِیْ أَھْلِ بَیْتِیْ، أُذَکِّرُکُمُ اللّٰہَ فِیْ أَھْلِ بَیْتِیْ، أُذَکِّرُکُمُ اللّٰہَ فِیْ أَھْلِ بَیْتِیْ۔)) فَقَالَ لَہُ حُصَیْنٌ: وَمَنْ أَھْلُ بَیْتِہِ یَا زَیْدُ؟ أَلَیْسَ نِسَائُ ہُ مِنْ أَھْلِ بَیْتِہِ؟ قَالَ: اِنَّ نِسَائَ ہُ مِنْ أَھْلِ بَیْتِہِ وَلَکِنَّ أَھْلَ بَیْتِہِ مَنْ حُرِمَ الصَّدَقَۃَ بَعْدَہُ، قَالَ: وَمَنْ ہُمْ؟ قَالَ: آلُ عَلِیٍّ وَ آلُ جَعَفَرٍ وَآلُ عَبَّاسٍ، قَالَ: أَکُلُّ ہٰؤُلَائِ حُرِمَ الصَّدَقَۃَ؟ قَالَ: نَعَمْ



Isme bhi amash nahi hai ‼


Aur bhi deegar muhaddiseen ne mukhtalif isnaad ke saath naqal Kiya hai

Ye hadees 84 sahaaba r.a se Marvi hai jinme sayyadna Umar bin khattab r.a bhi hain 💖✨


Hadees e ghadeer e Khum Ko 85 se zyaada muhaddiseen ne saheh kaha hai 💖✨

1 aur Aitraaz ke agar nabi ﷺ  ne agar Ali r.a Ko maula kaha hai to baki ashaab ne Kyun nahi kaha ❓


Aitraaz ke Ali r.a  Ko agar nabi ﷺ ne maula kaha to sahaaba r.a ne unhe Kyun nahi kaha ❓

Jawaab :-
 
Kya ashaab ka maula Ali alaihissalaam Ko maula kehhte hue agar milenge to kya tab hi kaha jayega ❓

To

Ameerul mo'mineen  sayyadna  Abu Bakr Siddiqui  Ko ham Siddique e Akbar kehte hain kya ye lafz  sahaaba ne use kya ❓

 Ya Ateeq  kehkar pukaara ❓


ameerul mo'mineen sayyadna Umar bin khattab r.a Ko   kisi ne Farooq  e Azam kehkar pukaara ❓

Ameerul mo'mineen usmaan bin Affan r.a Ko kisi ne Ghani kehkar pukaara ❓ Sahibe zul nurain kehkar pukaara ❓

Ya sirf   Ali alaihissalaam ke saath hi maula lafz se chidh hai ❓

Ab jaisa ke aitraaz hai ke maula Ali ke saath kisi sahaabi ne  lafz e maula use nahi Kiya to aiye dekhte hain 👇🏻



Sayyadna Umar bin khattab r.a  ne  Ali r.ase kaha ap to momino  ke  maula ho  💖✨

Imaam Ahmad ki kitaabe fazail e sahaaba hadees no 1042 📚




Ansaar ki 1 jamaat ayi aur unhone kaha السلام علیکم یا مولانا
To jab maula Ali alaihissalaam ne  poocha  ke  ke tum to Arab log ho me tumhaara Sardaar kaise Hun ?  To unlogo ne kaha hamne nabi e Rehmat ﷺ  se ghadeer e khum ke mauqa par Suna tha ap ﷺ farm rahe the jiska me maula uska Ali maula ‼

Fazail e sahaaba imaam Ahmad me hadees no 967📚

Imaam zehbi rh apni Kitab siyar a'la mi nubala  me farmate hain :- 
                                             imaam Ismail ne kaha beshaq wo Shaqs khaib , was khasib (naqaam o namuraad  hai jiske  Hazrat Ali (alaihissalaam) maula nahi ‼

Siyaar li zehbi jild 3 page no 357  📚

LUghat ki mashoor dictionary alqamoos al Waheed me maula ki tareeqe ayi hai ke maula ke ma'ne dost Mehboob ke bhi hote hain  ‼

Alqamoos al Waheed 1900📚

Ab hamne maula Ali alaihissalaam ke saath to lafz e  maula ashaab r.a se saabit kar diya hai ‼

Magar ilzaami jawaab bhi le Len (bat sirf ilzaami hai mera maqsad mere maula Abu Bakr o Umar alaihissalaam ki Tauheen nahi ) ke jaisa ke nawaasib ka aitraaz hai ke lafz e maula Ali r.a ke saath use nahi Kiya Jabki hamne uska jawaab de diya hai to ab ye log hame sayyadna Abu Bakr r.a ke saath  Siddique e Akbar.

aur sayyadna Umar r.a ke saath  Farooq e Azam lafz saabit karein ‼


3 ke imam  ibne tehmiya ne  kaha ke ye zaeef hai imaam Bukhari ne ise zaeef kaha ‼

to imaam ibne tehmiya  ne  kya iski koi sanad naqal ki hai ❓

 Nahi koi sanad naqal nahi ki  lihaaza ye baat to munqata hai warna nawaasib ke upar mera qarz ke wo imaam Bukhari rh ka ye qaul saheh sanad se layen‼



Dusri baat ke ibne tehmiya ne is hadees Ko zaeef kaha hai ‼

To bhaiyo  ab ham muhaddis ul asar  Allama Nasir Uddin al albani  rh ki Silsila tu ahadees e saheha me ibne tehmiya ka full radd Kiya hai Alhamdulillah‼


Imaam albani  farmate  hain  ke shaikhul  islam ne iske pehle hisse Ko   zaeef kaha hai aur dusre hisse Ko zaeef kehne ke liye   unhone ye qayaas lagaayi ke ye zaeef hai 

 Allama albani kehte hain Ye imaam ibne tehmiya ki buri adat thi ke wo hadees par hukm lagaane me jaldi karte the   Bina sb turk JAMA kiye hi
Ye unke mubalgho me se tha ye hadees me maamlo me jaldbaazi Kiya karte the wo poore turk nahi  JAMA karte the aur hukm lagaane me.jaldbazimkiya karte the Allah unhe maaf kare.

Silsila tu ahadees e saheha lilbani hadees no 1850📚




 4 :- 1 ye Aitraaz ke  Imaam zayli ne   apni book hidaya ki sharah nasburraya me likha ke : ke kitni hi aisi  riwaayat hain ke jinke rawiyo ki kasrat  aur muta'addid turk se bayaan ki jati hain  halanki wo hadees zaeef Hoti hai jaise ke hadees من کنت مولاہ‼

 imaam  Abu Abdullah Muhammad Yousuf zaili  hanafi ye wo hain jinhone al hidaaya ki takhreej ki hai  jo nasburraya hai.

Ab pehli baat ke ye hanafi hain‼

Dusri ke ye book nasburraya sharah hidaaya  ye book hanafi maslak ki hai‼

Ye imaam zayli hanfi ne jo ye Aitraaz Kiya hai ye Apne maslak Ko bachane aur    rafaulyadain ki mutawatir sanad se riwaayat ayi hai  uska radd karne aur apni hanfiyat Ko bachane ke liye banaaya hai

Aur is usool Ko hamare aslaaf me se kisi ne nahi Maana‼

Ye kitaab hanafi maslak ki khidmat ke liye hai ‼

Nasburraya page no 10📚


Aur Rahi baat ke zayli ne kaha to aiye ab ham.ye book nasburraya Ko hi dekh lete hain 👇🏻

Zayli hanfi sahab ne apni kitaabe me
Saheh muslim ki  Salam ke waqt Salam me haath se ishare wali hadees Ko rafaulyadain ke radd me naqal Kiya aur tehreef bhi ki hadees me lafz 1 haath hai Jabki unhone likhte waqt 2  haath likh diya  jise tamaam muhaddiseen ne Salam ke waqt haath uthane ki mumaniyat par laye hain ab zayli Ko hi manna hai to ye bhi manen

Nasburraya page no 393📚

Allama zayli witr ke wajib hone ki dalil laa kar uspar Sahih Ka hukm ko tasleem kiye....

Nasburraya page no 112


Yaad rahe witr Ahnaf me witr wajib hai lakin jamhur ne witr ko sunnat kaha hai.... Aur witr wajib hone wali ek bhi Sahih hadeeth nhi hai‼

A jagah aur ghaur  Karen  ke kaise wo apni hanfi maslak Ko bachane ke liye kaise saheh Ko zaeef aur zaeef Ko Saheb kar rahe hain 👇🏻


Jam'e tirmizi ki hadees no 257 tark w rafaulyadain wali Ko imaam zayli saheh likhte hain isme Asim bin qulaib hai.
Jabki is hi Asim bin qulaib se rafaulyadain karne ki hadees ayi to use zaeef keh diya  keh diya.

Nasburraya page no 390📚

Ab ye nasbi Hazrat zayli ki in baton Ko bhi manen ‼

Aur ahle ilm jante hain ke ahnaaf aur ahle hadees  ke usool e hadees me shadeed  ikhtilaafat hain  imaam zayli ne 1 baatil usool banaya apne maslak Ko bachane  ke liye  to ab nasbi Jin ahnaaf Ko gumraah kehte hain unki baton se hujjat pakadne Lage 🤔

Ab nawaasib Hazrat dogily policy na karte hue witr Ko wajib
 jabir bin Samra r.a wali Salam ke waqt haath uthane wali aur 
Tark e rafaulyadain par Abdullah bin Masood r.a wali baat par jo batil usool banayen hain zayli ne unhe bhi manen ‼



      💐Wama Alaina illal balaagh💐

Wallahu Alam......


















Comments

Popular posts from this blog

Sood ki taarif

Islam me music ki haqeeqat

Haqeeqi aur Kanoni sahabi me fark