Haqeeqi aur Kanoni sahabi me fark
💠 *sahaba kiram radhiallaho ajmaeen ke bare me hamara aqidah* 💠
☘ *Quran me allah tala ne musalmaano ke bare me bataya hai ke un ke 3 darje hai*
🔴1 *sabikon aur awwaloon aur unke muttabaeen*
Allah tala sabikon aur awwaloon aur mutabeen ke bare me quran me farmate hai ke woh ansaar aur mohajreen jinhone imaan lane me sabkat hasil ki aur woh log jo inke pairo kaar huvey (yani inhi ke nakshe kadam par chale inke mutabeen rahe) allah unse razi Hua aur who allah se razi huvey.
🏷 *(surah tauba ayat no. 100)*
🔴2 *munafikeen jinke dilon me nafak hai*
Yeh woh log hai jo imaan laye magar sirf dikhavey ke liye, inke dill andar se nifaak(munfikat) se bharey huvey hain aur who pakke munafik hai, halanke woh dikhawa karte hain ke who musalmaan hai magar andar se nhi hai, allah tala nabi sallalahu alaihi wasallam se kehte hai ke aye Mohammed aapko inka ilm nhi hai ke kon munafik hai iska ilm allah ko hai.
🏷 *(surah tauba ayat no. 101)*
🔴3 *miley juley amaal wale musalmaan*
Yani woh log jo ke apne jurm ka aitraf karte hain who musalmaan hai par unke dilo me imaan abhi puri tarah nhi utraa hai, unke amaal miley juley huvey hain allah se umeed hai ke who inki tauba kabool farmayega aur bila shuba allah tala badi maghfirat aur rehmat wala hai.
🏷 *(surah tauba ayat no. 102)*
☘ *Quran ki in ayato se hame pata chalta hai ke nabi sallalahu alaihi wasallam ke jo sahaba they unme bhi kuch naik log they aur kuch miley juley huvey amaal wale aur kuch pakke munafik they, ab is bare me mazeed khulasey ke liye hum rukh karte hai sahi hadis ki taraf.*
⭕sahabi unhe kehte hai jinhone ne nabi sallalahu alaihi wasallam ko dekha aur unpar imaan laye aur wafat tak imaan par datey rahe,
⭕jinhone nabi sallalahu alaihi wasallam ko dekha phir imaan laye lekin phir aapki wafaat ke baad deen se ultey kadam phir gaye aisa shaks bazahir toh sahabi hai, jab tak nabi sallalahu alaihi wasallam hum me maujood they allah unhe bata deta tha ke kon shaks imaan wala hai ya kon munafik ab jabke nabi sallalahu alaihi wasallam is duniya se jaa chuke toh hum is bare me yakeeni tour par nhi keh sakte ke kon hakeeki sahabi hai aur kon kanooni sahabi is baat ke sabot me kuch ahadis hai jinko dekha jaye.
☘ *note :- nabi sallalahu alaihi wasallam ke alawa kisi bhi shaks ke liye yeh dawa nhi kiya jaa sakta ke woh gunaho se paak hai, ambiya ko allah ki taeed hoti hai jissey ke woh gunaho se mehfoz rehte hai lekin koi aam insan is chiz se paak nhi chahe woh koi sahabi hi kyu na ho.*
⭕ kisi ghazwey se wapsi par ansaar aur muhajreen ka kisi choti se baat par jhagda ho Gaya toh who log ek dusre ko awazey lagane lage ke ansaar aao aur usi tarah muhajreen bhi apne kabile walo ko awaze lagane lage jab yeh awazey nabi sallalahu alaihi wasallam ne suni toh kaha ke kyu yeh jahilyat ke. Zamane ki awzey kar rhe ho yeh sab zamane jahilyat me log kiya kartey they, yeh baat jab abdullah bin abi ne suni toh kaha ke jab izzat wale madina me dakhil honge toh waha se zaleelo ko( nabi sallalahu alaihi wasallam aur unke sathio) ko nikal. Bahar karenge, ( naozobillahi min zalik),
🔶Jab zaid bin arkam ne yeh baat suni toh Nabi sallalahu alaihi wasallam ko jakar shikayat ki toh abdullah bin abi ne kasam khaa kar kaha ke usne yeh baat nhi kahi toh Nabi sallalahu alaihi wasallam ne uski baat ko maan liya aur zaid bin arkam ki baat par yakeen nhi kiya, toh wohi baat jo zaid bin arkam ne kahi thi uski taeed me allah tala ne quran ki ayat nazil kar di * yeh kehte hai ke ab agar ab hum laut kar madina jayenge toh izzat wala waha se zillat wale ko nikal dega sunlo ke izzat toh sirf allah tala aur uske rasul imaan daro ke liye hai lekin yeh munafik nhi jante* *(surah al munafikon ayat. 8)*
Jab hak baat wazeh ho gayi toh hazrat umar radhiallaho anhu khade huvey aur kaha ke allah ke rasul sallalahu alaihi wasallam aap ijazat dijiye is munafik ki gardan uda du toh Nabi sallalahu alaihi wasallam ne kaha ke aye amar usey chor do agar tumne uski gardan maar di toh log kahenge ke Mohammed apne sahabi ka katal karwata hai.
🏷 *(sahi bukhari 4905, 4906 , sahi muslim 6583)*
☘ *yaha nabi sallalahu alaihi wasallam ne us munafik ko bhi sahabi kaha, lekin yaha yeh baat implied hai ke woh kanooni sahabi tha hakeeki sahabi nhi.*
⭕jange hunain se wapasi par nabi sallalahu alaihi wasallam maal takseem kar rhe they toh abdullah bin al khuwesarah at tameemi ne kaha ke aye Mohammed (sallalahu alaihi wasallam) insaaf kijiye toh is par nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke tere liye wail (jahanum ki ek wadi) ho tere liye halakat ho agar me insaaf nhi kroga toh aur kon karega, is baat par hazrat umar ne apni talwar nikal li aur kaha ke ya rasulallah hukum dijiye is munafik ki gardan kaat deta hu toh Nabi sallalahu alaihi wasallam ne kaha ke umar jane do warna log kahenge ke Mohammed (sallalahu alaihi wasallam) apne sahaba ko katal karwata hai, aur saath hi farmaya ke yeh who shaks hai jo baad me khawarij hoga aur phir isi tarah tafseel farmayi ke log us waqt paida honge jab musalmaano me phut pad jayegi, yeh log islam se aise nikal jayege jaise teer shikat se aage nikal jata hai, rawi kehte hai ke baad me hazrat ali ne khawarij ke sath kital kiya aur jo jo nishanjya nabi sallalahu alaihi wasallam ne hame batayi thi who sab in me hum ne payi.
🏷 *(sahi bukhari 6933, sahi muslim 2449)*
☘ *yeh toh who munafikeen they jinki munafikat logo par zahir ho gyi, ab aage un munafikeen ka zikr hai jinke bare me khud musalmaano ko bhi nhi pata tha ke who munafik hai magar baad me unki kartoot ki wajah se unhe is baat ka ilm hua, lekin yaha bhi aapne us minafik ko bazahir sahabi tasleem kiya lekin yaha bhi implied hai ke sahabi se murad yaha bhi kanooni sahabi hai hakeeki sahabi nhi*
⭕abu tufail radhiallaho anhu se marvi hai ke nabi sallalahu alaihi wasallam tabook se wapasi huvey toh aap sallalahu alaihi wasallam ne ailaan karne wale ko hukum diya aur us ne ailaan kiya ke nabi sallalahu alaihi wasallam pahad ka upar wala rasta akhtiyar karenge lihaza koi dusra admi who rasta akhtiyar na kare, nabi sallalahu ki ontni ki nakeel hazrat huzaifa bin yaman samale. Huvey aage chal rhe they aur hazrat yasir bin ammar aapke peeche chal rhe they, itne me muh chupaye kuch log achanak agaye who log nabi sallalahu alaihi wasallam ki ontni ko haank rahe they (unka irada tha ke nabi sallalahu alaihi wasallam ko tabook ki ghaati se neeche gira den) par hazrat ammar aur hazrat huzaifa radhiallaho anhu ne badi jaa nisari se aap ki hifazat ki aur woh log bhaag gaye, toh Nabi sallalahu alaihi wasallam ontni se neeche utre aur hazrat ammar radhiallaho anhu se pocha ke kya tumne hamla awaro ko pehchana? Toh hazrat ammar ne kaha ke me aksar onto ko pehchan chuka hu par hamla awaro chehre dhakey huvey they toh me unhe nhi pehchaan paya, phir nabi sallalahu alaihi wasallam ne hazrat huzaifa bin yaman se kaha ke unme se me unme se 12 ko pehchan gaya hun phir aapne huzaifa radhiallaho anhu ko un munafikeen ke naam bataye aur unhe raaz rakhne ko kaha.
🏷 *(sahi bukhari 3742, sahi muslim 7035, dalail ul nabuwa behaqi page no. 261,262, musnad ahmad 18885,23319)*
🔴momin toh who hai jo ke allah aur uske rasul par pakka imaan laye phir who shakk o shuba na karen, aur apne maal se aur apni jaano se allah ki raah me jihad karte rahe,(apne dawa e imaan me) yehi log sacche aur raast go(imaan wale) hain.
🏷 *(surah al hujrat ayat no. 15)*
☘ *👆yaha allah tala ne momineen ki sifat bayan ki ke allah ke nazdeek kon imaan wale hai.*
🔴 yeh baddu(dihati) kehte hai ke hum imaan le aye, aap inse keh dijiye ke dar hakikat tum imaan nhi laye lekin tum yu kaho ke tum islam laye(mukhalifat chor kar mutee ho gaye) halanke abhi tak tumhre dilon me imaan dakhil hi nhi hua tum agar allah ki aur uske rasul ki farma bardari karne lago ge toh allah tumhre amaal me se kuch bhi kam na karega, beshak allah bakshne wala meharbaan hai.
🏷 *( surah al hujrat ayat no. 14)*
☘ *Quran ki in ayato me 👆 un logo ka zikr hai jinke bare me surah tauba me aya hai ke unke miley juley amaal hai, acche kaam bhi karte hai aur bure kaam bhi.*
⭕ khaibar ke baad nabi sallalahu alaihi wasallam wadiye alqura ke liye nikle aur waha pohanchey to naa malum ek teer nabi sallalahu alaihi wasallam ke ghulam jiska naam midam tha usko akar lag gaya aur who mar gaya, toh sahaba ne kaha ke isko shahadat Mubarak ho yeh shaheed hai, toh Nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke hargiz nhi, us zaat ki kasam jiske hath me meri jaan hai, is ghulam ne khaibar ke mauke par ek kambal maal e ghanimat se churaya tha woh is par aag ka angara ban kar bhadak rha hai, jab logon ne yeh baat suni toh jisne jo kuch bhi maale ghanimat se mamoli samaj kar uthaya tha woh nabi sallalahu alaihi wasallam ki khidmat me hazir kar diya.
🏷 *(sahi bukhari 4234, 6707, sahi muslim 309,310)*
☘ *ab yaha baat ghor karne wali hai ke nabi sallalahu alaihi wasallam ne us ghulam ke bare me bataya ke yeh jahanum me hai is se baat pata chalti hai ke sirf sahabi hona hi jannat me jane ke liye kaafi nhi, sabik kadam rehte huvey imaan par jo mara uske liye hi nijaat hai.*
⭕kalsoom tabae rahimahullah ka bayan hai ke hum wasit (jo iraq ka ek shehar hai) mein abdul al alaa tabae ke pass baithey they ke achanak wahan ek shakhs ko dekha jin ka naam tha abu al ghadiya, unhone paani manga toh ek chandi ke naksh nigar wale bartan me unke liye pani laya gaya magar unhone peene se inkar kar diya aur phir rasul allah sallalahu alaihi wasallam ka zikr karte huvey (badi hasrat ke sath) bayan farmaya ke aap sallalahu alaihi wasallam ne hum se irshad farmaya tha : dekhna mere baad dobara kafir na ban jana ke ek dusre ki gardane marne lag jao, phir abu al ghadiya radhiallaho anhu mazeed farmane lage ek mauke par me ne ek shaks ko dekha ko woh falan (mere ek mehboob shakhs) ka tazkirah burai ke sath kar rha tha toh mene kaha ke allah ki kasm agar lashkar me tu mere hattey chad gaya (toh thujse nimat lunga) – phir jab jange e siffeen ka din barpa hua toh achanak wohi shakhs (mujhe maidan jang me) mill gaya us ne zirah pehn rakhi thi, mujhe zirah me ek shigaaf nazar aya toh mene taak laga kar nezah mara aur usey maar dala, lekin phir mujhe pata chala ke (who maktool shakhs toh) ammar bin yasir radhiallaho anhu they (yani us waqt tak abu al ghadiya radhiallaho anhu khud bhi ammar bin yasir radhiallaho anhu ke aham makam se nawakif they), phir abu al ghadiya radhiallaho anhu khud se mukhatib huvey aur kaha (ta ajub hai) ke ek taraf toh unke hatho ne chandi ke bartan me pani peene ko na pasand kiya aur dusri taraf ammar bin yasir ko katal kar dala.
🏷 *(musnad ahmad 16698)*
⭕hazrat umro bin aas radhiallaho anhu ko jab ammar radhiallaho anhu ke katal ki khabar di gayi toh unhone farmaya ke mene khud nabi sallalahu alaihi wasallam ko farmate huvey suna tha ke ammar ka kaatil aur unka samaan (maale ghanimat ke taur par) lootne wala jahanum me jayega.
🏷 *(mustadrak hakim 5661, silsila ahadees sahiha 3524)*
☘ *hame allah se har waqt dua karna chahiye ke allah hame hamesha deen o islaam par sabik kadam rakhna (allahumma ajirni minan naar)*
⭕ hazrat anas bin malik radhiallaho anhu bayan karte hai ke ek shakhs pehly isaai tha- phir who islam me dakhil ho gaya tha, usne surah baqrah aur aale imran padh li thi aur who nabi sallalahu alaihi wasallam ke liye wahi likha karta tha, phir who shakhs murtad ho gaya aur isaaiyo se jaa mila aur who kehta tha ke Mohammed (sallalahu alaihi wasallam) jo kuch mene likh diya hai uske siwa unhe kuch bhi malum nhi – phir allah ke hukm se uski maut wakaye ho gayi aur uske aadmio ne usko dafan kar diya, jab subah huvi toh unhone dekha ke uski laash kabar se nikal kar zameen ke upar padi hai, isaai logo ne kaha ke yeh Mohammed (sallalahu alaihi wasallam) aur unke sathio ka kaam hai chunke unka deen isne chor diya tha is liye unhone is ki kabar khood di hai aur laash ko bahar nikal kar phenk diya hai, chunancha dusri kabar unhone khodi jo zada gehri thi aur usko. Dafna diya, jab subah huvi toh laash phir bahar thi, is martaba bhi unhone yehi kaha yeh Mohammed aur uske sathio ka kaam hai chunke unka deen isne chor diya is liye unhone is ki kabar khod di aur laash ko bahar nikal kar phenk diya, phir unhone kabar khodi aur jitni gehri unke bas me thi karke usme daal diya lekin subah huvi toh laash phir bahar thi, ab unhe yakeen aya ke yeh kaam kisi insan ka nhi hai (balke mayyat allah ke azaab me giraftar hai) chunancha unhone us shakhs ko yuhi zameen par daal diya.
🏷 *(sahi bukhari 3617, sahi muslim 7040)*
⭕abu bakar radhiallaho anhu ke zamane me kuch kabail murtad ho gaye toh hazrat abu bakar ne un se kitaal karne ka iradah kiya toh hazrat umar ne unse kaha ke aap un se kaise jang kar sakte hai jabke inhone allah tala ka inkar nhi kiya aur nabi sallalahu alaihi wasallam ne bhi yehi kaha tha ke jisne kalme ka iqrar kiya usne mujhse apni jaan bacha li, toh abu bakar radhiallaho anhu ne kaha ke allah ki kasam zakat maal me allah ka hissa hai phir jo koi bhi namaz aur zakat me fark karega me us se jang krunga, phir hazrat umar radiallahu anhu ne kaha ke abu bakar radhiallaho anhu ka seena allah ne khol diya hai aur yehi hak hai ke unse kitaal kiya jaye.
🏷 *(sahi bukhari 1399,1400)*
☘ *yeh wohi log they jo aapke sahabi they aapki wafaat ke baad deen se ultey kadam phir gaye aur zakat ke munkir ho gaye*
⭕abu huraira radhiallaho anhu bayan karte hai ke jab surah nasr nazil huvi
*اِذَا جَآءَ نَصۡرُ اللّٰہِ وَ الۡفَتۡحُ ۙ﴿۱﴾*
*وَ رَاَیۡتَ النَّاسَ یَدۡخُلُوۡنَ فِیۡ دِیۡنِ اللّٰہِ اَفۡوَاجًا ۙ﴿۲﴾*
jab allah ki madad aur fateh ajayegi
aur aap logo ko fauj dar fauj islam me dakhil hotey huvey dekhoge,
⭕ toh allah ke rasul sallalahu alaihi wasallam ne farmaya who log zarur (islaam) se aise hi fauj dar fauj nikal jayege jaise isme dakhil huvey.
🏷 *(mustadrak hakim 8518, sunan darmi 91, surah al nasr ayat no1, 2)*
⭕ nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke qayamat ke din mere sahaba ko hausey kausar pe laya jayega, aur me kahoga ke aye mere rabb yeh mere sahaba hain, me unhe hausey kausar se jab mashroob pilane lagunga toh unke aur mere darmiyan diwar khadi kar di jayegi, aur mujhe bataya jayega ke aapko nhi pata yeh who log hai jinhone aapki wafaat ke baad deen me bid'aten jari kar di thi, phir me kahoga ke In par phitkaar ho inko mujhse dur kar do jinhone mere baad deen ko badal diya, phir me bhi wohi kahoga jo abd saleh isaa alaihissalam kahenge, aye allah jab tak me inme maujood tha in par gawah tha jab tune mujhe utha liya phir tu hi inpar gawah tha, tu har chiz par nigah baan hai, tabae kahte hai ke in se murad who log hai jo abu bakar radhiallaho anhu ke zamane me murtad ho gaye they.
🏷 *(sahi bukhari 7050,3447,4625,6576, sahi muslim 5978,7201)*
☘ *yeh hadis taweel khas ke aitebaar se sahaba ke liye hai par taweel aam ke liye har us shaks ke liye hai jo ke deen me bidat jaari karta hai.*
⭕ abu huraira radhiallaho anhu bayan karte hai ke ek habshi aurat masjid e nabvi me jhado diya karti thi, ek din uska inteqal ho gaya toh humne usko dafan kar diya, jab nabi sallalahu alaihi wasallam ne usey masjid me nhi paya toh sahaba se uske mutalik pocha toh unhone bataya ke who faut ho gyi aur humne usey dafna diya, toh Nabi sallalahu alaihi wasallam ne kaha ke tumne mujhe iski khabar kyu nhi di, ab chalo mujhe uski kabar par ley chalo, waha jaa kar nabi sallalahu alaihi wasallam ne uski kabar par namaz e janaza padhi aur farmaya ke mere namaz padhne aur dua maghfirat karne ki barkat se pehly yeh kabren tariki me thi ab yeh noor se munawwar ho gyi.
🏷 *(sahi bukhari 458, sahi muslim 2215)*
⭕abu saeed khudri radhiallaho anhu bayan karte hai ke Khalid bin waleed ne abdurehman bin auf ko jhagde ke dauran gaali de di toh rasul allah sallalahu alaihi wasallam ne khalid bin waleed radhiallaho anhu se farmaya ke tum mere sahaba ko bura mat kaho, agar ab tum (baad me islaam lane walo) me se koi shakhs uhad pahad ke barabar bhi sona kharch kar daley toh bhi woh un (pehly musalmaano) me se kisi ek ke mud (takreeban 600 gram) kharch karne ko nhi pohanch sakta na hi uske aadhey ko.
🏷 *(sahi bukhari 3673, sahi muslim 6488)*
☘ *yaha nabi sallalahu alaihi wasallam ne Khalid bin waleed se kaha ke mere sahaba ke darje ko nhi pohanch sakte toh kya Khalid bin waleed sahaba nhi they, jawab hai ke Khalid bin waleed sahabi they par unhone islam baad me kabol kiya jabke abdurehman bin auf badri sahabi hai in done ke darje ek nhi ho sakte*
☘ *in sari ahadiso se yehi pata chalta hai ke sahaba me bhi kuch aise log they jo ke bazahir imaan wale they andar se unke dill me imaan nhi tha, isliye hamara yeh aqeedah hai ke hum allah se umeed karte hai ke insha allah sare sahaba jannati hai, lekin yakeen se sirf un sahaba ko jannati kehte hai jinko khud nabi sallalahu alaihi wasallam ne jannati kaha jisme ke ashra mubashra, badri sahabi sulah hudaibiya wale sahabi ansaar aur muhajreen hai.*
🛑 *aakhir me nabi sallalahu alaihi wasallam ki naseehat pesh e nazar hai👇🏻*
⭕ arbaaz bin sariya radhiallaho anhu bayan karte hai ke nabi sallalahu alaihi wasallam ne hame aisi nasihat farmayi jis se hamari aankhen dubduba gyi aur dill laraz gaye, hum ne kaha : allah ke rasul yeh toh rukhsat hone wali nasihat malum hoti hai, toh aap hame kya nasihat karte hain? Toh aap sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke me ne tumko ek ajse saaf aur roshan raste par chora hai jiski raat bhi din ki taraf roshan hai, is raste se sirf mere baad halak hone wala hi inheraaf karega (muh modega), tum me se jo shakhs mere baad zinda rahega who boht saare ikhtilaf dekhega, us waqt deen me fitne aur nayi nayi bidat jari hongi tum un se bachna, aur us waqt mere aur mere hidayat yafta khulfa e rashideen ki sunnat par kayam aur jamey rehna aur meri is nasihat ko apne daaton ke zariye mazbooti se daba lo aur is par amal paira rehna.
🏷 *(jame tirmizi 2676, abu dawood 4607, ibne maja 43)*
☘ *allah tala se dua hai allah hame jahanum ke azab se bachaye, deen me naye kaam karne yani bid'at karne se bachaye aur imaan o aafiyat se hame is duniya se rukhsat kare. (ameen)*
Comments
Post a Comment