KYA AMBIA ﷺ AUR SHUHADAAH ZINDA HAI?

*KYA AMBIA ﷺ AUR SHUHADAAH ZINDA HAI*

*✳IS ZAMAN ME QURAN-E- PAAK KI 4 AYAAT BOHT IMPORTANT HAI*✳

1⃣ surah al Imran ayat no 169
وَ لَا تَحۡسَبَنَّ الَّذِیۡنَ قُتِلُوۡا فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ اَمۡوَاتًا ؕ بَلۡ اَحۡیَآءٌ عِنۡدَ رَبِّہِمۡ یُرۡزَقُوۡنَ
✳ aur mat gumaan karna un logo ke bare me jo allah ki raah me katal kar diye jaye ke woh murdah hain balke woh toh apne rab ke huzoor zinda hai aur unhe rizq bhi diya jata hai

2⃣ surah al baqra ayat no 154
وَ لَا تَقُوۡلُوۡا لِمَنۡ یُّقۡتَلُ فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ اَمۡوَاتٌ ؕ بَلۡ اَحۡیَآءٌ وَّ لٰکِنۡ لَّا تَشۡعُرُوۡنَ
✳ aur mat kaho un logo ko murdah jo allah ki raah me katal kar diye jaye balke woh toh zinda hai lekin tumhe unki zindagi ka sha'oor nhi, kyu ke woh zindgai barzakh hai

Aur woh zindgai barzakh hai iska sabot bhi quran me maujod hai

3⃣ surah al mominoon ayat 100
وَ مِنۡ وَّرَآئِہِمۡ بَرۡزَخٌ اِلٰی یَوۡمِ یُبۡعَثُوۡنَ
✳ Aur unke marne se lekar uthaye jane tak ka jo waqt hai woh barzakhi hai

Note :- shari'at me inhe mutashabihaat kaha jata hai aur mutashabihaat ke bare me quran me zikr aya hai

4⃣ surah al imran ayat no 7
الۡکِتٰبِ وَ اُخَرُ مُتَشٰبِہٰتٌ ؕ فَاَمَّا الَّذِیۡنَ فِیۡ قُلُوۡبِہِمۡ زَیۡغٌ فَیَتَّبِعُوۡنَ مَا تَشَابَہَ مِنۡہُ ابۡتِغَآءَ الۡفِتۡنَۃِ وَ ابۡتِغَآءَ تَاۡوِیۡلِہٖ ۚ؃ وَ مَا یَعۡلَمُ تَاۡوِیۡلَہٗۤ اِلَّا اللّٰہُ
✳ aur jin logo ke dilo me tedha pan hota hai toh woh mutashabihaat ke peeche pardh jate hain taake issey fitna khada karden aur us ka murad e asli kya hai usko pata lagane ki koshish karte hain halanke murad e asli sirf allah ke ilm me hain.

Note :- mutashabihaat ka ilm sirf allah hi ko hai hame iske bare me soch kar apna iman khatre me nhi dalna chahiye kyunke allah ne quran me isey mana kar diya hai. Is maamle me hum bas utna hi kalam karte hai jitna ke hame quran aur sahi hadis se malum hota hai

🛑 quran me mutashabihaat ke bare me jo zikr aya hai woh ham upar padh chuke - ab hum hadis ki taraf rukh karte hai mazeed iske khulasey ke liye.

*IS ZAMAN ME 3 AHADIS AHAM (IMPORTANT) HAI*

1⃣ sahi muslim 4885
Jab sural al imran ki ayat 169 nazil hovi toh sahaba kiraam ne nabiﷺ se pocha toh aapﷺ ne farmaya ke SHUHADAAH ki roohen sabz parindo ke pait me daal di jaati hai aur woh jannat me har taraf sair (ghumti phirti) rahti hai aur phir arsh ke neeche kandilo par akar baith jaati hai toh allah unse khitab farmata hai ke koi khuwahish ho toh izhaar kro toh woh kehte hai ke allah Hume duniya me dobara bhej de taake hum teri raah me dobara katal kiye jaye - lekin is mamle me allah unki khuwahish puri nhi farmata ( kyunke maut toh sirf ek hi bar aani hai)

Bukhari aur muslim ki muttafakun alai hadis hai
Ke allah ke nabiﷺ kehte hai ke meri khuwahish hai ke me allah ki raah me katal kiya jaun phir dobara zinda kiya jaun phir katal kiya jaun phir zinda kiya jaun phir katal kiya jaun phir zinda kiya jaun.

Muslim ki hadis me ata hai ke
Ke jo shaks Shahadat ki tammanna kiye baghair mara toh munafikat ki ek shaakh par mara.

🛑 Note:- har musalmaan ko chahiye ke uske dill me tammanna ho ke usey bhi shahadat ki maut naseeb ho.

2⃣ sahi bukhari 1351
Jabir bin abdullah kehte hai ke gazwa uhad ke mauke par mere walid abdullah shaheed ho gaye toh jaldi jaldi me unhe ek aur sahabi ke sath mushtarika kabar me dafna diya gaya, toh mene yeh khuwahish apne dill me ki thi ke jab bhi mujhe mauka milega me apne walid ki kabar tabdeel krunga, phir unhone apne walid ko 6 mahine baad unki kabar se nikala toh unka pura jism wesa ka wesa hi tha jis halat me unko dafnaya gaya tha.

3⃣ sahi bukhri 1390
Hazrat arwah bayan karte hai ke waleed bin abdul malik ke zamane me hujrah ayesha ki deewar gir gayi aur log usey tameer karne me masroof hovey toh unhe ek paw(leg) dikhai diya toh woh ghabrai aur khayal karne lage ke shayad ye nabi ﷺ ka paw mubarak hai chunancha iske muta'alik unhe sahi ma'lomaat dene wala koi na mil saka hatta ke hazrat arwah bin zuber ne unse kaha : allah ki kasam yeh nabi ﷺ kadam Mubarak nhi balke yeh hazrat umar radiallahu anhu ka hai,
* Aur yeh waqia hazrat umar radiallahu anhu ke wafat ke 63 saal ke baad pesh aya.

🛑 ahle sunnat ke muhaddis imam behaqi ne ek kitab likhi jiska naam hai unhone rakha hayatul ambia fee kuburihim ( imbia apni kabro me zinda hai) aur usme unhone 21 AHADIS ki roshni me yeh sabit kiya ke imbia kiran (alaihissalam) ki kabro me zindgai rohani bhi hai aur jismani bhi, aur uski daleel me unhone hadis pesh ki

1⃣ musnad abi yala 3425
Ambia (alaihissalam) apni kabro me zinda hai aur namaze bhi padhte hai

2⃣sahi muslim 6157
Nabi ﷺ ne farmaya ke shabe meraj ki raat aap ﷺ musa alaihissalam ki kabar ke pass se guzre toh woh apni kabar me khade namaz padh rhe they.

# aur apni kitab ke akhir me unhone saari hadisey likhne ke baad unhone apna aqeeda bhi likh diya aur kaha ke beshak allah ne apne ambia kiram (alaihissalam) par unki rohen lauta di hai ab woh apne parwardigar ke nazdeek SHUHADAAH ki tarah zinda hai.

🛑 note :- ambia e kiram alaihissalam apni kabro me zinda hai aur unki zindagi
1⃣ ukhrawi hai ( akhirat ki zindagi hai)
2⃣barzakhi hai ( hame nazar nhi aa sakti sirf allah ko iska ilm hai)
3⃣ jannati hai
4⃣rohani hai aur jismani hai magar iski kaifiyat barzakhi hai aur yeh zindagi kisi bhi surat me duniya ki zindagi ke mushabai (jaisi) nhi hain.

✳ AUR IS BAAT PAR UMMAT KA IJMAA HAI KE AMBIA KIRAM ALAIHISSALAM KI BARZAKH ZINDAGI SHUHADAAH KI ZINDAGI SE AFZAL TAR AFZAL TAR AFZAL HAI AUR USKI DALEEL YEHI HAI KE SHUHADAAH KI ROHEN SABZ PARINDO ME HAI AUR AMBIA ALAIHISSALAM KI ROHEN UNKE JISM MUBARAK ME HAI✳

Comments

Popular posts from this blog

Sood ki taarif

Islam me music ki haqeeqat

Haqeeqi aur Kanoni sahabi me fark