Allah Hamare sath hai??

As salam o aly kum wa rhmat Ullah

Ek sawal Kya Allah Hmare sath hai?

Iska jawab ye hai

Alhamdulillah hi Rabbil Alaameen


Allah ne Qur'an me farmaya

" Aur Wo Allah hai jo tmhare sath hai tum kahin bhi raho"

Surah Hadeed ayet 4

Is ayet me ghaur Karne ki baat ye hai ki Arabic zaban me lafz "HU" ism baeed zaaat ke liye istemal hota hai aur lafz MA'AAKUM" bhi zaat ke liye istemal hota hai

Sath sath isi ayet me ye bhi hai ki wo Asman se apne kaam ko chalata hai aur din ko raat se aur raat ko din se Nikalta hai

In Sari baato se ye pata chala ki

Allah apne zaat ke sath Arsh pr mustawi hai jesa ke uski shaan hai aur jb wo Arsh pr mustawi hai to aisa nhi ki bus Uski zaat arsh pr hai aur sifaat nhi balke Aqedah ye hoga ki Allah arsh pr Apne zaat aur sifaat ke sath Mustawi hai jaisa ke uski shaan hai.

Isi trha wo hmare sath bhi apni zaat aur sifaat ke sath maujood hai jaisa ki uska shaan hai.

Jis trha Allah ko Arsh pr manna aur ye kehna ki wo Arsh pr Apne zaat ke sath hai lakin sifat se khali hai to ye kufr hai isi tarha ye kehna ki wo hmare sath apni sifaat ke sath hai lakin zaat se khali hai ye aqedah bhi kitab o sunnat ke khilaf hai.


Aur dusri Ayet me Allah farmate hai

" Aur hum Tmhare zyada Qareeb hote hai magar tum dekh nhi sakte"

Surah Waqiyah ayet 85

Yaha is baat se bhi zahir huwa ki ye Ayet Allah ki zaat ke bare me bata rhi hai kyun ki Allah ko Ankho se nhi dekha jaa sakta .

Jis trha Musa alaihissalam ko Allah ne khud kaha "LAN TARANI"

Ay Musa Ap mjhko nhi dekh sakte.

Khayal rahe ki musa alaihissalam ne Allah ki sifaat ko dekhne ki arz nhi ki thi magar uske zaat ko.

To pata chala ki Allah ki zaat hmare qareeb hai lakin hum usko nhi dekh sakte.


Apko hadeeth yaad hogi aur wo ye.

Ki Tum namaz is tarha padho jaise Allah ko dekh rhe Ho agar tum Allah ko nhi dekh sakte to ye samjh lo Allah tmko dekh rha hai.
( Sahih Bukhari Hadees # 50)

Is hadeeth se bilkul wazey hai ki baat Allah ki zaat ki ho rhi hai

Agar is hadeeth me Allah ko dekne se Murad Allah ki sifaat hoti to ye baat ki "Allah ko nhi dekh sakte" Rasul Ulla kabhi nhi irshaad farmate q ki Hum barish aur Azaab ke shakl me Allah ki sifaat dekhte rehte hai.


Goya hadeeth Allah ki zaat ke bare me wazey hai kyun ki hadeeth me agey ke lafz hai " Allah tmko dekh rha hai "
 Is baat pr har musalman muttafiq hai ki Allah humlogo ko Hamari zaat aur hamare amaal ke sath dekhta hai.

Ye hadeeth bilkul saaf beyan kr rhi hai ki namazi Allah ke zaat ko nhi dekh sakta magar ye yaqeen kre ki Allah humari zaat ko dekhta hai aur hmari neyaat se bakhabar hai.


Bukhari muslim me ibn umar radhi Allah se rewayt hai

"Agar tum mese se koi apne samne thukna chahe to na thuke kyun ki Allah uske samne hai.
(Sahih Bukhari Hadees # 1213).

Ye bhi hadeeth zaat pr dalalat krti hai kyun ki namaz me Allah ki zaat hmare samne hoti hai
Aur usi sifat to humlogo ko har waqt gheri rhti hai.

Sheikh ibn Taimiyah ( allah un par reham kare) apni kitab "Aqeedah al wasitiya"me likhte hai

Hum Ahlus sunnah ummat e wast hai aur Wo is trha ki hum na Ahlut Taweel hai yani wo log jo Quran o sunnat ki taweel krte hai aur na Ahlut Tamseel yani na wo log jo Allah ki misaal beyan krte hai.

Hum haq usi ko samajhte hai jo Quran aur sunnat me wazey maujood hai.
( Aqeedah al wastiya page 59 urdu)

Isi tarha Allah apni zaat aur sifaat ke ayetebaar se Arsh pr bhi aur hmare sath bhi apne shaan ke sath hai

Wallaho Alaaam

written by
Muqtadir Furqan Husayn Ansary









Comments

Popular posts from this blog

Sood ki taarif

Islam me music ki haqeeqat

Haqeeqi aur Kanoni sahabi me fark