Usool e Hadis In Roman
Assalamu alaikum Is post me usool hadis boht hi asaan tarike se samjhane ki koshish ki gyi hai aap issey fayda uthaye. Hadees kisey kehtey hai ? Arabic laugat(dictionary) me lafz e hadees ke maney guftugu ya kalam krna hai magar Istelah ki zaban me Rasul ullah saws ki Qual fael aur takrir ko kehte hai HADEETH KE AQSAM Hadeeth char qism ke hote hai (1) Hadeeth quali (2) Hadeeth faeli (3) Hadeeth Takriri (4) Hadeeth shumaili Hadeeth Quali – jis Hadees se rasul ullah saws ke faramin ka ilm ho us hadeeth ko Quali hadeeth kehte hai. Hadeeth faeli - jis Hadeeth se hume rasul ullah saws ka fael (kisi Amal ko krne)ka ilm hasil ho usey hadeeth Faeli kehte hai. Hadeeth takiri – ye us hadeeth ko kehte hai jo kisi sahaba ne koi aisa kaam Rasul ullah saws ke samney kiya ho aur Rasul ullah saws khamosh rahe ho yani us sahaba ko us kaam se nhi roka ho aise hadeetho ko Hadeet Takriri kehte hai. ...