Posts

KYA Nabi ﷺ KE WALIDAIN HALAT KUFR PAR MAREY

*KYA Nabi ﷺ KE WALIDAIN HALAT KUFR PAR MAREY.* *DALEEL NO.1* Surat No 5 : Ayat No 19 یٰۤاَہۡلَ الۡکِتٰبِ قَدۡ جَآءَکُمۡ  رَسُوۡلُنَا یُبَیِّنُ لَکُمۡ عَلٰی  فَتۡرَۃٍ  مِّنَ الرُّسُلِ اَنۡ تَقُوۡلُوۡا مَا جَآءَنَا مِنۡۢ بَشِیۡرٍ وَّ لَا نَذِیۡرٍ ۫ فَقَدۡ جَآءَکُمۡ بَشِیۡرٌ وَّ نَذِیۡرٌ ؕ وَ اللّٰہُ  عَلٰی  کُلِّ  شَیۡءٍ  قَدِیۡرٌ. aye ahle kitab! hamara yeh rasul aise waqt tumhre pass aya hai aur deen ki wazeh taleem tumhe de rha hai jabke rasulu ki amad ka silsila ek muddat se band tha, taake tum yeh na keh sako ke hamare pass toh koi basharat dene wala aur darane wala nahi aya-  aur allah har chiz par qadir hai. allah us kaum ko azab nhi deta jistak dawat na pohanchi ho aur Nabi ﷺ ke walidain us zamane me they jab fatrat ka zamana tha yani ke koi peghambar nhi aya tha 500 saal guzar chukey they👇 *DALEEL NO. 2* Surat No 17 : Ayat No 15 مَنِ اہۡتَدٰی فَاِنَّمَا یَہۡتَدِیۡ لِنَفۡسِہٖ ۚ وَ مَنۡ ضَلَّ فَاِنَّمَا یَضِلُّ عَلَیۡ...

Sajda tilawat ke Sahi ahkaam

💠 *SAJDA TILAWAT KA SAHI HUKUM* 💠 aaj is tehreer me hum sajda tilawat ke bare me hone wale ikhtilaf ka sahi hadis ki roshni me jayeza lete hai aur kuch sawal jo sajda tilawat ke bare me aksar hote hai woh yeh hain. *1* quran me kull kitne sajde ki ayat hain? *2* kya sajde ki ayat par sajda karna wajib hai? *3* sajde tilawat me konsi dua padhna chahiye? 🛑 *sawal no 1* quran me kull kitne sajde ki ayat hai hai?  quran me kull 15 sajde ki ayat hain         *Name* *Parah No* *Surah No* *Ayat No* *1* surah Aeraf = 09 07 206 *2* surah raad = 13 13 15 *3* surah nahal = 14 16 50 *4* surah isra = 15 17 109 *5* surah maryam = 16 19 58 *6* surah hajj = 17 22 18 *7* surah hajj = 17 22 77 *8* surah furqa...

Eid Ul Azha ke masail aur fazail

🛑 *Eid Ul Azha ke masail aur fazail.* ⭕Nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shaks qurbani ka irada rakhta ho usey chahiye ke zul hijja ka chand dekhne ke baad apne baal aur nakhun na kaate. 🏷 *(abu dawood 2791)* ⭕nabi sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shaks qurbani ki istetaat na rakhta ho toh woh eid ki namaz ke baad baal aur nakhun kat le aur baghal aur zer e naaf ke baal saaf kar le toh ussey bhi qurbani ka sawab milega. 🏷 *(abu dawood 2789)* *note:- jo shaks takat na rakhta ho usey bhi chahiye ke Chand dekhne ke baad baal waghera na kaaten aur eid ki namaz ke baad kate* 🛑 *kya eid ul azha me qurbani karna wajib hai ya sunnat?* *Note :- is post me hum eid ul azhaa ki qurbani ki charcha kar rhe hai in ahadis se koi yeh matlb na nikale ke hajj ke liye bhi qurbani karna sirf sunnat hai kyu ke haji ke liye wajib hai ke woh qurbani kare.* ab dekhte hai eid ul azha ki qurbani ke silsle me. imam behaqi ne ispe baab banda hai aur unhone uska...

KYA AMBIA ﷺ AUR SHUHADAAH ZINDA HAI?

*KYA AMBIA ﷺ AUR SHUHADAAH ZINDA HAI* *✳IS ZAMAN ME QURAN-E- PAAK KI 4 AYAAT BOHT IMPORTANT HAI*✳ 1⃣ surah al Imran ayat no 169 وَ لَا تَحۡسَبَنَّ الَّذِیۡنَ قُتِلُوۡا فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ اَمۡوَاتًا ؕ بَلۡ اَحۡیَآءٌ عِنۡدَ رَبِّہِمۡ یُرۡزَقُوۡنَ ✳ aur mat gumaan karna un logo ke bare me jo allah ki raah me katal kar diye jaye ke woh murdah hain balke woh toh apne rab ke huzoor zinda hai aur unhe rizq bhi diya jata hai 2⃣ surah al baqra ayat no 154 وَ لَا تَقُوۡلُوۡا لِمَنۡ یُّقۡتَلُ فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ اَمۡوَاتٌ ؕ بَلۡ اَحۡیَآءٌ وَّ لٰکِنۡ لَّا تَشۡعُرُوۡنَ ✳ aur mat kaho un logo ko murdah jo allah ki raah me katal kar diye jaye balke woh toh zinda hai lekin tumhe unki zindagi ka sha'oor nhi, kyu ke woh zindgai barzakh hai Aur woh zindgai barzakh hai iska sabot bhi quran me maujod hai 3⃣ surah al mominoon ayat 100 وَ مِنۡ وَّرَآئِہِمۡ بَرۡزَخٌ اِلٰی یَوۡمِ یُبۡعَثُوۡنَ ✳ Aur unke marne se lekar uthaye jane tak ka jo waqt hai woh barzakhi hai Note :- s...

Allah Hamare sath hai??

Image
As salam o aly kum wa rhmat Ullah Ek sawal Kya Allah Hmare sath hai? Iska jawab ye hai Alhamdulillah hi Rabbil Alaameen Allah ne Qur'an me farmaya " Aur Wo Allah hai jo tmhare sath hai tum kahin bhi raho" Surah Hadeed ayet 4 Is ayet me ghaur Karne ki baat ye hai ki Arabic zaban me lafz "HU" ism baeed zaaat ke liye istemal hota hai aur lafz MA'AAKUM" bhi zaat ke liye istemal hota hai Sath sath isi ayet me ye bhi hai ki wo Asman se apne kaam ko chalata hai aur din ko raat se aur raat ko din se Nikalta hai In Sari baato se ye pata chala ki Allah apne zaat ke sath Arsh pr mustawi hai jesa ke uski shaan hai aur jb wo Arsh pr mustawi hai to aisa nhi ki bus Uski zaat arsh pr hai aur sifaat nhi balke Aqedah ye hoga ki Allah arsh pr Apne zaat aur sifaat ke sath Mustawi hai jaisa ke uski shaan hai. Isi trha wo hmare sath bhi apni zaat aur sifaat ke sath maujood hai jaisa ki uska shaan hai. Jis trha Allah ko Arsh pr manna aur ye kehna ki...

Dawat aur islah ke liye Qur'aani ayat ka majmua

Assalamu Alaikum warehmtullahi wa barakatuh  *Da'wat aur islaah ke liye kuch zaroori Qur'aani hawaale* *Allaah ke Baraabar koi nahi hai aur uska koi shareek nahi hai* Surah Baqarah 2: 165 Surah Baqarah 2: 255 Surah Ambiyaa 21: 21-25 Surah Hashr 59: 22-24 Surah Ikhlaas 112: 1-4 *Allaah ko chhor kar uske bandon ko mat pukaaro* Surah Araf 7: 194 – 197 Surah Yunus 10: 28 – 36 Surah Nahl 16: 17 – 22 Surah Isra 17: 56 – 57 Surah Kahf 18: 102 Surah Furqan 25: 3 *Allaah shirk karne waalo ko kabhi maaf nahi karega* Surah Nisa 4: 48 Surah Nisa 4: 116 *Unke shareek apni ibaadat kiye jaane ka inkar kar denge* Surah Yunus 10: 28 – 30 Surah Nahl 16: 86 – 87 Surah Furqan 25: 17 – 19 Surah Qasas 28: 62 – 65 Surah Rum 30: 12 – 14 Surah Ibrahim 14: 4 – 6 *Aksar log Imaan laane ke baad bhi shirk karte hain* Surah Yusuf 12:106 *Agar koi Nabi bhi shirk karta, to uske a’amaal bhi barbaad ho jate* Surah An’am 6:83-88 Surah Isra 17:39 Surah Zumar 39:65 *Buton k...

Nabi alaihissalam ki wafaat kis tarikh me huvi?

Assalamu alaikum Nabi ﷺ ki wafat Monday ke din huvi, yeh baat hadis se sabit hai (bukhari hadis no. 680)* Nabi ﷺ ki wafat 11 hijri me huvi is baat me bhi koi ikhtilaf nhi. ab kuch bhai tarikh ke kuch wakiat ke base par yeh kehte hai ke Nabi ﷺ ki wafaat 12 rabiul awwal ko huvi jo ke bilkul sahi nhi hai, 10 hijri me jab Nabi ﷺ ne hajjatul wida ka khutba diya woh arfaat ka din tha aur us din jumma tha, *(bukhari 45)* ab humko yeh pata chal gaya 10 hijri me arfaat ka din yaani 9 zul hijja ka din jumma ke din aya aur Nabi ﷺ ki wafaat rabiul awwal me Monday ke din huvi, yaani ke zull hijja se lekar rabiul awwal ke darmiyan jo duration hai woh hai 3 month, aur hijri calendar ke hisab se ek month me 30 days se zada din nhi hotey aur 29 days se kam bhi nhi hotey, is lihaaz se 4 possible combination hi ban sakte hai in 3 months ke 1⃣  teeno mahine 30 ke 2⃣  teeno mahine 29 ke 3⃣  ek mahina 29 aur baaki do mahine 30 ke 4⃣  ek mahina 30 ka baki dono 29 ke ...