Salatul tasbeeh sahi hadis se sabit hai
> *🌟SALATUT TASBIH Namaz🌟*
>
> 🔶Abdullah Bin Abbas razi Allaahu anhu se marwi hai ke Rasool Allaah sallallaahu alaihi wasallam ne Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib razi Allaahu anhu se farmaya:
> ✨Ae Abbas ! Ae Chacha Jaan! Kya mai aapko Ek hadiya (tohfa) na du?
> Atia ya tohfa na du?
>
> Kya mai aapko Dus baat na sikha du.
> Jab aap in par amal karenge to Allaah Aap ke agle ,peechle, Qadeem wa Jadeed Khata(gunah), Jaan booj kar, chote Bade, Chipi hui aur Zahiri sab Gunaho ko maaf farmadega.
>
> ✨Dus baatein ye hai ke-
>
> 🔹 Aap Chaar rakatein padhein.
> 🔹Har Rakat me Aap Surah Fatiha aur Ek Surah padhein.
> 🔹Jab Aap pahli rakat me Qirat Se faarigh hojayein aur Qayam me ho to 15 baar ye Tasbih padhein
> 🔹Subhanallaahi walhamdulillaahi wala ilaha illallah wallaahu Akbar.
> 🔹Phir Ruku karein aur Halat Ruku me Dus baar yahi tasbih padhein
> 🔹Phir Ruku karein se sar oothaye aur Dus baar yahi tasbih padhein.
> 🔹Phir Sajda karein aur Sajde me Dus baar yahi padhein.
> 🔹Phir Sajde se sir oothaye to yahi Dus baar padhein
> 🔹Phir dusra sajda karein,to usme bhi dus baar padhein.
> 🔹Phir Sir oothaye to Dus baar padhein.
> 🔅Har rakat me 75 Tasbihat huein.
> 🔺Aur Aap chaar rakato me aise hi karein.
> 🔺Agar Himmat ho to har roz padha karein.
> 🔺Agar Har roz na padh sakein to Har haftein me ek baar padhein,
> 🔺 agar har hafte me na padh sakein to ek mahine me ek baar padhein.
> 🔺Agar ye na kar sakein to Saal me ek baar padhien. Agar saal me bhi na padh sakein to apni zindagi me ek baar padhlein.
>
> 📚(Ibn Majah, Hadees No-1387
> Sunan Abi Dawood, Hadees No-1297)
>
> ☀Is Hadees ki Sanad ye hai-
>
> حدثنا عبد الرحمن بن بشر بن الحكم النيسابوري حدثنا موسى بن عبد العزيز حدثنا الحكم بن أبان عن عكرمة عن ابن عباس أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال
>
> ◾Abdullah Ibn Abbas razi Allaahu Anhu Mashoor Jaliluo Qadr Sahabi e Rasool hai.
>
> ◾Ikrama Abu Abdullah(Maulaa Ibn Abbas):-Siqa hai
>
> ٤٦٧٣- عكرمة أبو عبد الله مولى ابن عباس أصله بربري ثقة ثبت عالم بالتفسير
> 📕(See-Taqrib o Tahzib 4673)
>
> ✨Zubair Ali Zai rahimaullah inhe Sahih ul Hadees qarar dete hai
>
> 🔹ALHakam bin Abaan rahimaullah-Siqa hai.
>
> 📕(See-Tahzibul Kamal 2/249,Al Kashif (1/181)
>
> ✨Zubair Ali Zai rahimaullah Inhe Hasanul Hadees qarar dete hai
>
> ◾Moosa bin Abdul Aziz rahimaullah-
> Aapko Ibn Moeen, Nasai, Abu Dawood, ibn Shaeen, wagaira ne siqa kaha hai
>
> ✨Zubair Ali zai rahimaullah aapko Hasan ul Hadees kahte hai.
>
> ◾Abdur Rahman bin Bashar bin Al Hakam :-
> Ye sahih Al Bukhari wa.Al Muslim wagaira ke raawi hai aur Siqa hai
>
> ٣٨١٠- عبد الرحمن ابن بشر ابن الحكم العبدي أبو محمد النيسابوري ثقة
> 📕(See: -Taqreeb o Tahzib: 3810)
>
> 🔷Zubair Ali Zai rahimaullah kahte hai-
>
> 🔅"Iski Sanad me koi Inqata,Illat ya Shuzuz nahi hai, (aur tamam raawi siqa hai) ,lehaza ye hadees Hasan hai. "🔅
>
> ♦Salatul Tasbib Waali rawayat Shabi e Rasul Hazrat e Jabir Razi Allaahu Ta'aala anhu se bhi marwi hai.
>
> ☀Uski sanad ye hai-
>
> 🍃حدثنا أبو توبة الربيع بن نافع حدثنا محمد بن مهاجر عن عروة بن رويم حدثني الأنصاري أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال لجعفر بهذا الحديث
>
> 📚(See-Sunan Abi Dawood:1299)
>
> ◾Hazrat Jabir Razi Allaahu Anhu Sahabi e Rasool hai
>
> ◾Urwa bin Ruwaim :-
> Aapko Ibn Moeen, Dahim Ash Shami aur Imam Nasai wagaira ne Siqa kaha hai.
>
> 📕(See: -Tahzibul Kamal, 5/153)
>
> ◾Muhammad bin Muhajir Al Ansari:-
> Ye Sahih Muslim ke raawi hai aur Siqa hai
>
> ٦٣٣١- محمد ابن مهاجر الأنصاري الشامي أخو عمرو ثقة
> 📕(See-Taqrib :6331)
>
> ◾Abu Taubah Ar Rabih bin Nafe: -
> Aap Sahih Bukhari wa Muslim ke raawi aur Siqa Huujjat aur Aabid hai.
>
> 🍂١٩٠٢- الربيع ابن نافع أبو توبة الحلبي نزيل طرسوس ثقة حجة عابد
> 📕(Taqrib o Tahzib:-1902)
>
> 🔷Zubair Ali Zai Rahimaullah Farmate hai:-
> ▪Lehaza ye Hadees Sahih hai .
> Aur iska matan(Text) Pahli Hadees (Abu Dawood: 1297) ki tarah hai.▪
>
> ☀Zubair Ali Zai Rahimaullah Salatut Tasbih Waali rawayat ko SAHIH LIGHAIRIHI qarar dete hai
>
> ☀Aur Likhte hai: -
> Is Hadees ko in Imamo ne Sahih ya Hasan qarar diya hai-
> 🔹Shaikul Islam Abdullah Bin Mubarak
> 🔹Abu Dawood
> 🔹Imam Al Aajuri
> 🔹Khatib Baghdadi rahimaullah
> 🔹Abu Sa'd Samaa'ni rahimaullaah
> 🔹 Abu Musaa Al Madini rahimaullah
> 🔹Hafiz A'laayi rahimaullah
> 🔹Hafiz Al Bulqaini rahimaullaah
> 🔹 Hafiz Ibn Nasiruddin Al Damishqi rahimaullah
>
> ☀Inhone bhi Maqbool qarar diya hai-
> 🔹Imam Ibn Salah rahimaullah
> 🔹Imam Ibn Munda rahimaullah
> 🔹Hafiz Al Munzari rahimaullah
>
> ☀Is Daur Ke Jalil o Qadir Mohaddis Shaikh Nasir Uddin Albani Rahimaullah ne Bhi Salatul Tasbih Waali rawayat ko SAHIH LIGHAIRIHI qarar diya hai
>
> ☀Shaikh Shoaib Al Arnaut rahimaullah bhi Ise Sahih Taslim karte hai
>
> ♻Jab Salatut Tasbih ki Hadees Sahih aur Saabit hai to phir ispar Amal karna jayaz hua.
>
> 🔸Jo log Ise Biddat aur Najayaz qarar dete hai unka ye Kahna Galat hai
>
> ▪Salaf me Se Shaikul Islam Abdullah Bin Mubarak rahimaullaah Salatut Tasbih ke jawaz ke qayel the aur Wo iska padhne ka tarqia bhi sikhate the.
>
> 📚(See Sunan At Tirmizi,Hadees No-481)
>
> ------------------------
>
>
> ------------------------
>
>
> 📓Fatawa Ilmiya of Hafiz Zubair Ali Zai rahimaullah Vol-1,page: 426-430
>
> 📓Sahih At Targib Wat Tarhib of Allama Albani Vol -1,page-165
>
> 📓Sunan Abi Dawood-Tahqiq By Shaikh Shoiab Arnaut rahimaullah
>
> 📓Sunan Abi Dawood Published by Darussalam.
> ----------+------------
> 📌Note-
> ▪Islamqa.com wagaira me Salatul Tasbih waali rawayat ko Zaif kaha gaya hai, lekin koi Illat (zaif ka wajah) bayan nahi kiya gaya hai.
>
> Uske bil muqabil upar Us hadees ka sahih hona saabit kardiya gaya hai.
>
> Agar koi Bhai is tahqiq se muttafiq nahi hai, to Wo Usool e Hadees ke buniyaad par in hadeeso ka radd karein, sirf Baaz Aimma ke Fatawe dene se ye hadees Zaif nahi hojayegi.
>
> ✨And Allaah Knows best Salatus Tasbeeh Padne ke Fayde : Nabi saw ne apne Chacha Abbas ibne Abdul Mabtalib se Farmaya Chacha jaan kya me apko kuch inayat na karu kya me apko koi tohfa pesh na karu kya me apko is amal ki wajah se 10 asalto wala acha insan na banadu Aye chacha jaan jab aap yeh amal karlenge To No.1) Agle aur Pichle No.2) Purane aur naye No.3) Janbujhkar kiye aur Anjane me kiye gaye No.4) Chote yaa Bade(sageerah aur kabeerah No.5) Chupe huwe aur zahir Sab Gunaah maaf ho jayenge.Phir Aap saw ne farmaya aye chacha jaan ho sake to ise roz padna agar roz na ho sake to hafte me pado aur hafte me bhi na ho sake to saal me ek martaba pado aur agar saal me bhi na padpao to zindagi me ek martaba padna. Hadees Abu Dawood 1297, Timidhi 481, Ibnemajha 1386 & Hakim 1192. in hadeeson sahi kaha imam Muslim rh, imam Zahbi rh, imam abu Dawood rh, Har Askalani rh, Ahmed Shakir rh, Albani rh & Zuber Ali zay rh ne in sabne sahi kaha hai.
>
> Salatus Tasbeeh 4 Rakaat padni hai 2 2 karke. Pehli Rakaat me qayaam me sureh fatiha aur sureh padne ke baad yeh kalimaat padne hai 15 martaba Subhanallahi Walhamdulillahi Walailaah ilallahu Wallahu Akbar aur ruku me 10 martaba phir ruku se uthte waqt 10 martaba phir sajde me 10 martaba phir do sajde ke bichme bethte waqt 10 martaba phir sajde me 10 martaba phir sajde se uthte waqt 10 martaba aur aise hi dusri rakaat me bhi padna haI. Total 300 time kalimat hoge.
Comments
Post a Comment