Salatul tasbeeh sahi hadis se sabit hai
> *🌟SALATUT TASBIH Namaz🌟* > > 🔶Abdullah Bin Abbas razi Allaahu anhu se marwi hai ke Rasool Allaah sallallaahu alaihi wasallam ne Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib razi Allaahu anhu se farmaya: > ✨Ae Abbas ! Ae Chacha Jaan! Kya mai aapko Ek hadiya (tohfa) na du? > Atia ya tohfa na du? > > Kya mai aapko Dus baat na sikha du. > Jab aap in par amal karenge to Allaah Aap ke agle ,peechle, Qadeem wa Jadeed Khata(gunah), Jaan booj kar, chote Bade, Chipi hui aur Zahiri sab Gunaho ko maaf farmadega. > > ✨Dus baatein ye hai ke- > > 🔹 Aap Chaar rakatein padhein. > 🔹Har Rakat me Aap Surah Fatiha aur Ek Surah padhein. > 🔹Jab Aap pahli rakat me Qirat Se faarigh hojayein aur Qayam me ho to 15 baar ye Tasbih padhein > 🔹Subhanallaahi walhamdulillaahi wala ilaha illallah wallaahu Akbar. > 🔹Phir Ruku karein aur Halat Ruku me Dus baar yahi tasbi...