Posts

Showing posts from April, 2020

Khilafat 30 saal hadis safeena r.a ki Tehkik

Is mazmoon mein hum mashahur ahadees "Mere baad khilaafat 30 saal" ki tahqeeq o takhreej pesh kar rahe hai taaki aam logo par bhi haq wazeh ho jaye. Imam Abu Dawood Al-Sajsatani ne Kitaab Al-Sunan (jild 2 safa 29 kitaab Al sunnah baab fi khulafa hadees 4646 ) Imam Abu Isa Al Tirmizi ne Kitaab Al-Sunan Tirmizi ( jild 2 safa 46, abwab fitn baab maja fi khulafa hadees no 2226 ) Imam Abu Abdul Rahman Al Nisai ne Kitaab Al-Sunan Nisai Al-Kubra (jild 5 safa 47 ke Kitaab-ul-Manaqib hadees no 8155 baab, Abu Bakar r.a, Umar r.a, usmaan r.a, Ali r.a) aur Imam Abu Hatim Bin Hibban Al Basti ne Al-Saheh (Al-Ahsaan, 6623, maward Al zamaan : 1834,1835) mein Aur dusre Muhaddiseen ne bahut si sanadon ke sath Saeed Bin Jumhan se unhone Safeena Abu Abdul Rahman r.a Moula Rasool Allah ﷺ se riwayat kiya hai ke : قال رسول اللہ ﷺ: ‘‘خلافۃ النبوۃ ثلاثون سنن ثم یؤت اللہ الملک من یشاء أو ملکہ من یشاء، قال سعید: قال لی سفینۃ: أمسک علیک، أبا بکر سنتین و عمر عشراً و عثمان اثنی عشر و علیاً ...